Murshad Shayari Urdu

Breaking

Wednesday, April 14, 2021

Kuch Sajday Mamool Say Ziada Lamby Hoty Hain

April 14, 2021 0
Kuch Sajday Mamool Say Ziada Lamby Hoty Hain


Kuch Sajday Mamool Say Ziada Lamby Hoty Hain
Aur Un Sajdon Ke Shidat Bs Allah Janta Hai

کچھ سجدے معمول سے زیادہ لمبے ہوتے ہیں
اور ان سجدوں کی شدت بس اللّٰہ جانتا ہے

Aur Phir Youn Hua Kay Ma Ny

April 14, 2021 0
Aur Phir Youn Hua Kay Ma Ny

Tuesday, April 13, 2021

tum saath ho ya naho kya fark hai || tum saath ho ya naho

April 13, 2021 0
tum saath ho ya naho kya fark hai || tum saath ho ya naho

 


Pal bhar thahar jaao Dil ye sambhal jaaye Kaise tumhe roka karun Meri taraf aata har gham phisal jaaye Aankhon mein tum ko bharun Bin bole baatein tumse karun 'gar tum saath ho.. Agar tum saath ho Behti rehti.. Nahar nadiya si teri duniya mein Meri duniya hai teri chaahaton mein Main dhal jaati hoon teri aadaton mein 'gar tum saath ho Teri nazron mein hai tere sapne Tere sapno mein hai naraazi Mujhe lagta hai ke baatein dil ki Hoti lafzon ki dhokebaazi Tum saath ho ya na ho kya fark hai Bedard thi zindagi bedard hai Agar tum saath ho Agar tum saath ho Palkein jhapakte hi din ye nikal jaaye Bethi bethi bhaagi phirun Meri taraf aata har gham phisal jaaye Aankhon mein tum ko bharun Bin bole baatein tumse karun 'gar tum saath ho Agar tum saath ho Teri nazron mein hai tere sapne Tere sapno mein hai naraazi Mujhe lagta hai ke baatein dil ki Hoti lafzon ki dhokebaazi Tum saath ho ya na ho kya fark hai Bedard thi zindagi bedard hai Agar tum saath ho Dil ye sambhal jaaye (Agar tum saath ho) Har gham phisal jaaye (Agar tum saath ho) Din ye nikal jaaye (Agar tum saath ho) Har gham phisal jaaye

Monday, April 12, 2021

Monday, March 22, 2021

Haseen Nahi Thay, Bahar Hal Mazi Behtar Tha

March 22, 2021 0
Haseen Nahi Thay, Bahar Hal Mazi Behtar Tha

 



Haseen Nahi Thay, Bahar Hal Mazi Behtar Tha

Haseen Nahi Thay, Bahar Hal Mazi Behtar Tha ….!!

Ham Apni Zaat Pe Is Waqt Fakhar Karty Thay

 

Afkar Alvi


حسین نہیں تھے،بہر حال ماضی بہتر تھا

!..ہم اپنی ذات پہ اس وقت فخر کرتے تھے


المعروف مرشد افکار علوی

Mosami Shai Nahi Ye Mohabbat

March 22, 2021 0
Mosami Shai Nahi Ye Mohabbat

Wednesday, January 24, 2018

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

January 24, 2018 0
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko YaadAate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon MagarJunhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain